SEARCH RESULTS
Showing search results for "tagayyur"
Sher MATCHES FOR "tagayyur"
Sher
kaam hai meraa taGayyur naam hai meraa shabaab
meraa na.ara inqilaab o inqilaab o inqilaab
Josh Malihabadi
Sher
anaasir kii ko.ii tartiib qaa.em rah nahii.n saktii
taGayyur Gair-faanii hai taGayyur jaavedaanii hai
Matin Niazi
Sher
haalat ke taGayyur par ho maatam-e-maazii kyuu.n
ik vo bhii zamaana thaa ik ye bhii zamaanaa hai
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
vo zamaane kaa taGayyur ho ki mausam kaa mizaaj
be-zarar dono.n hai.n naira.ngi-e-aadaam ke sivaa
Arshad Kamal
Sher
sadiyo.n me.n jaa ke bantaa hai aaKHir mizaaj-e-dahr
'madnii' ko.ii taGayyur-e-aalam hai be-sabab
Aziz Hamid Madni
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
kabhii yak-ba-yak tavajjoh kabhii daf.atan taGaaful
mujhe aazmaa rahaa hai ko.ii ruKH badal badal kar
Shakeel Badayuni
Sher
Naseer Turabi
Sher
Ameer Khusrau
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
kis mu.nh se kare.n un ke taGaaful kii shikaayat
KHud ham ko mohabbat kaa sabaq yaad nahii.n hai
Hafeez Banarasi
Sher
phir aur taGaaful kaa sabab kyaa hai KHudaayaa
mai.n yaad na aa.uu.n unhe.n mumkin hii nahii.n hai
Hasrat Mohani
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
rakhte hai.n mohabbat ko taGaaful me.n chhupaa kar
parvaa hii to karte hai.n jo parvaa nahii.n karte
Junaid Akhtar
Sher
taGayyuraat ke aalam me.n zindagaanii hai
shabaab faanii nazar faanii husn faanii hai