SEARCH RESULTS
Showing search results for "takht-e-hazaara"
Sher MATCHES FOR "takht-e-hazaara"
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Dr. Azam
Sher
KHushiyaa.n jo baT rahii thii.n vo ham ko nahii.n milii.n
aa.ii hamaarii baarii to vaapas nazar hu.ii
Farah Shahid
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
aazaadii ne baazuu bhii salaamat nahii.n rakkhe
ai taaqat-e-parvaaz tujhe laa.e.n kahaa.n se
Bismil Azimabadi
Sher
maa.ngne par kyaa na degaa taaqat-e-sabr-o-sukuun
jis ne be maa.nge ataa kar dii pareshaanii mujhe
Manzar Lakhnavi
Sher
taKHta-e-daar pe chaahe jise laTkaa diije
itne logo.n me.n gunaahgaar ko.ii to hogaa
Shahzad Ahmad
Sher
aazaad to barso.n se hai.n arbaab-e-gulistaa.n
aa.ii na magar taaqat-e-parvaaz abhii tak
Wahid Premi
Sher
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
dard tuu mere paas se marte talak na jaa.iyo
taaqat-e-sabr ho na ho taab-o-qaraar ho na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
adaa-e-husn ne baKHshii hai taaqat-e-parvaaz
havaa-e-shauq me.n u.Dtaa huu.n baal-o-par na sahii
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
dil ko niyaaz-e-hasrat-e-diidaar kar chuke
dekhaa to ham me.n taaqat-e-diidaar bhii nahii.n