SEARCH RESULTS
Showing search results for "talaash-e-raahat-e-manzil"
Sher MATCHES FOR "talaash-e-raahat-e-manzil"
Sher
amiir shaal do-shaalo.n me.n garm-e-raahat-o-aish
Gariib ke liye jaa.Do.n me.n zindagaanii dhuup
Imdad Ali Bahr
Sher
talaash-e-ma.ani-e-maqsuud itnii sahl na thii
mai.n lafz lafz utartaa gayaa bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
KHumaar-e-qurbat-e-manzil thaa naa-rasii kaa javaaz
galii me.n aa ke mai.n us kaa makaan bhuul gayaa
Anjum Khaleeq
Sher
mai.n bhii talaash-e-aab-e-havas me.n niklaa huu.n
shor sunaa thaa ik chashme ke ubalne kaa
Prem Kumar Nazar
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
George Puech Shor
Sher
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huu.n jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
tum KHud hii chale aa.oge shaayad sar-e-manzil
ik raah nikaalii hai mirii dar-badarii ne
Shahab Sarmadi
Sher
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chau.nkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paa.nv kaarvaa.n apnaa
Yagana Changezi
Sher
kab taalib-e-raahat hu.e zaKHmii-e-mohabbat
marham kii jo haajat hu.ii tezaab banaayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
chalaa mai.n jaanib-e-manzil to ye hu.aa ma.aluum
yaqii.n gumaan me.n gum hai gumaa.n hai poshiida
Anwar Sadeed
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
vo saamne sar-e-manzil charaaG jalte hai.n
javaab paa.nv na dete to mai.n kahaa.n hotaa
Raaz Yazdani
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
pahu.nch ke jo sar-e-manzil bichha.D gayaa mujh se
vo ham-safar thaa magar ham-nazar na thaa meraa
Akbar Hyderabadi
Sher
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
jis ko dekho vo ba.Dhaa jaataa hai suu-e-manzil
kis ko fursat jo mire paa.nv ke chhaale dekhe