SEARCH RESULTS
Showing search results for "talkhii"
Sher MATCHES FOR "talkhii"
Sher
mai.n talKHi-e-hayaat se ghabraa ke pii gayaa
Gam kii siyaah raat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
mai-e-hayaat me.n shaamil hai talKHii-e-dauraa.n
jabhii to pii ke taraste hai.n be-KHudii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko KHaraab-e-talKHii-e-hijraa.n to kiijiye
Safiya Shamim
Sher
jii nahii.n aap se kyaa mujh ko shikaayat hogii
haa.n mujhe talKHi-e-haalaat pe ronaa aayaa
Saifuddin Saif
Sher
talKHii tumhaare va.az me.n hai vaa.izo magar
dekho to kis maze kii hai talKHii sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
Josh Malihabadi
Sher
shikva-e-talKHi-e-haalaat bajaa hai lekin
is pe rotaa huu.n ki mai.n ne bhii rulaayaa hai tujhe
Sahar Ansari
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Hamida Shaheen
Sher
kuchh KHud bhii huu.n mai.n ishq me.n afsurda o Gamgii.n
kuchh talKHi-e-haalaat kaa ehsaas hu.aa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
tezii-e-baada kujaa talKHii-e-guftaar kujaa
kund hai nashtar-e-saaqii se sinaan-e-vaa.iz
Habeeb Moosavi
Sher
zahr zindagaanii kaa pii ke aql aa.ii hai
daaruu-e-Gam-e-hastii talKHii-e-subuu me.n hai
Jami Rudaulvi
Sher
talKHii ke saath kiije na tark-e-ta'alluqaat
chubhtaa rahegaa varna ye lahja tamaam 'umr
Ali Asar Bandvi
Sher
ham talKHii-e-hayaat ko aasaa.n na kar sake
sahraa-e-zindagii ko gulistaa.n na kar sake
Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sher
Bano Tahira Sayeed
Sher
us ne mire mizaaj kii talKHii to dekh lii
kyo.n us ko merii aa.nkh kaa aa.nsuu nahii.n dikhaa