SEARCH RESULTS
Showing search results for "tam.iiz"
Sher MATCHES FOR "tam.iiz"
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e
Farhat Shahzad
Sher
tamiiz-e-KHvaab-o-haqiiqat hai shart-e-bedaarii
KHayaal-e-azmat-e-maazii ko chho.D haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
Sher
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
tumhaare saamne kyaa 'mus.hafii' pa.Dhe ash.aar
bhale bure kii to ab tak tumhe.n tamiiz nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Syed Amin Ashraf
Sher
kuchh aur ho ga.ii dushvaar nek-o-bad kii tamiiz
ki ab to KHair ke parde me.n shar nikaltaa hai
Tariq Matin
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
ghar kii ta.amiir tasavvur hii me.n ho saktii hai
apne naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai
Shahryar
Sher
Obaidur Rahman
Sher
nasheman par nasheman is qadar taa'miir kartaa jaa
ki girte girte bijlii aap KHud be-zaar ho jaa.e
Saeed Shahidi
Sher
ghar me.n thaa kyaa ki tiraa Gam use Gaarat kartaa
vo jo rakhte the ham ik hasrat-e-taamiir so hai
Mirza Ghalib
Sher
Ehteram Islam
Sher
a.ndherii shab me.n bhii taamiir-e-aashiyaa.n na ruke
nahii.n charaaG to kyaa barq to chamaktii hai
Sahir Ludhianvi
Sher
ham ko us shahr me.n taamiir kaa saudaa hai jahaa.n
log memaar ko chun dete hai.n diivaar ke saath
Ahmad Faraz
Sher
Afzal Khan
Sher
Raza Azimabadi
Sher
mere hii sa.ng-o-KHisht se ta.amiir-e-baam-o-dar
mere hii ghar ko shahr me.n shaamil kahaa na jaa.e