SEARCH RESULTS
Showing search results for "tamaashaa-e-ahd-e-rafta"
Sher MATCHES FOR "tamaashaa-e-ahd-e-rafta"
Sher
ahd-e-shabaab-e-rafta kyaa ahd-e-pur-fazaa thaa
jiine kaa bhii mazaa thaa marne kaa bhii mazaa thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
fareb-e-ahd-e-mohabbat kii saadgii kii qasam
vo jhuuT bol ki sach ko bhii pyaar aa jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqiin rakhte hai.n
ham intihaa-e-sitam kaa gilaa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
ahd-e-aaGaaz-e-tamannaa bhii mujhe yaad nahii.n
mahv-e-hairat huu.n ki itnaa bhii mujhe yaad nahii.n
Shaukat Pardesi
Sher
ai KHushaa 'ahd-e-'adam fikr se aazaad the ham
ek din bhii na yahaa.n qaid-e-mihan se nikle
Mohammad Baqar Shams
Sher
Anees Ahmad Anees
Sher
ye tamaashaa diidanii Thahraa magar dekhegaa kaun
ho ga.e ham raakh to dast-e-du.aa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
chaa.e ke ek cup kaa yahii hai mu.aavza
yaaro.n ko ahd-e-rafta ke qisse sunaa.iye
Syed Fazlul Mateen
Sher
muddato.n baad jo is raah se guzraa huu.n 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyaa hai mai.n ne
Qamar Moradabadi
Sher
tark-e-ta.alluqaat kaa kuchh un ko Gam nahii.n
ham to shikast-e-ahd-e-vafaa se maluul hai.n
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
hai.n in me.n band kisii ahd-e-rast-KHez ke aks
ye merii aa.nkhe.n ajaa.ib-gharo.n me.n rakh aanaa