SEARCH RESULTS
Showing search results for "tamhiid"
Sher MATCHES FOR "tamhiid"
Sher
saaf aataa hai nazar anjaam har aaGaaz kaa
zindagaanii maut kii tamhiid hai mere liye
Tilok Chand Mahroom
Sher
Tapaknaa ashk kaa tamhiid hai diidaar kii jaise
tuluu-e-mahr se pahle sitaara sub.h-dam nikle
Jaleel Manikpuri
Sher
shikast-e-tauba kii tamhiid hai tirii tauba
zabaa.n pe tauba 'mubaarak' nigaah saaGar par
Mubarak Azimabadi
Sher
us ke hii husn kii tamhiid hai.n saare mausam
mai.n use aaj bhii utnaa hii hasii.n jaantaa huu.n
Aziz Nabeel
Sher
Ravish Siddiqi
Sher
Mirza Hadi Ruswa
Sher
tamhiid thii junuu.n kii garebaa.n hu.aa jo chaak
ya.anii ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar thaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
ek dha.Dkaa saa lagaa rahtaa hai KHush hone par
ye bahaar ab ke na tamhiid-e-KHizaa.n ho jaa.e
Riasath Ali Asrar
Sher
thaa mast baa.ndhne me.n vo tamhiid-e-zaKHm-e-dil
siine ke ik shigaaf pe u.nglii dhare hu.e
Ahmad Sageer
Sher
roza-daaro.n ke liye terii ziyaa tamhiid hai
us KHushii kii naam is duniyaa me.n jis kaa 'iid hai
Saleem Akhtar Mikrani
Sher
reKHte ke tumhii.n ustaad nahii.n ho 'Gaalib'
kahte hai.n agle zamaane me.n ko.ii 'miir' bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
ye mere ishq kii majbuuriyaa.n ma.aaz-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
har ek baat pe kahte ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ki ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
chhoTii sii baat pe KHush honaa mujhe aataa thaa
par ba.Dii baat pe chup rahnaa tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e