SEARCH RESULTS
Showing search results for "tanaa.o"
Sher MATCHES FOR "tanaa.o"
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
ta.ana-e-nashsha na do sab ko ki kuchh soKHta-jaa.n
shiddat-e-tishna-labii se bhii bahak jaate hai.n
Ahmad Faraz
Sher
zo.af me.n ta.ana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Sher
haa.n ahl-e-talab kaun sune taana-e-naa-yaafat
dekhaa ki vo miltaa nahii.n apne hii ko kho aa.e
Mirza Ghalib
Sher
ta.ana-zan kufr pe hotaa hai abas ai zaahid
but-parastii hai tire zohd-e-riyaa se behtar
Joshish Azimabadi
Sher
ajab tanaav hai maahaul me.n kahe.n kis se
kahii.n pe aaj ko.ii haadsa hu.aa to nahii.n
Iftikhar Aazmi
Sher
ai sarv-e-gul-chaman tuu zaraa Tuk chaman me.n aa
jyuu.n gul shagufta ho ke mirii anjuman me.n aa