SEARCH RESULTS
Showing search results for "tangii-e-daamaa.n"
Sher MATCHES FOR "tangii-e-daamaa.n"
Sher
ruk jaa hujuum-e-gul ki abhii hausla nahii.n
dil se KHayaal-e-ta.ngii-e-daamaa.n gayaa nahii.n
Zehra Nigaah
Sher
ta.ngii-e-hai.at se Takraataa hu.aa josh-e-mavaad
shaa.erii kaa lutf aa jaataa hai chhoTii bahr me.n
Shuja Khaavar
Sher
tangii-e-aish me.n mumkin nahii.n tark-e-lazzat
suukhe Tuk.De bhii to faaqo.n me.n mazaa dete hai.n
Mirza Hadi Ruswa
Sher
ta.ngi-e-dil kaa gila kyaa ye vo kaafir-dil hai
ki agar ta.ng na hotaa to pareshaa.n hotaa
Mirza Ghalib
Sher
chalte rahe ham tund havaa.o.n ke muqaabil
'aazaad' charaaG-e-tah-e-daamaa.n na rahe ham
Jagan Nath Azad
Sher
dene vaale tujhe denaa hai to itnaa de de
ki mujhe shikva-e-kotaahii-e-daamaa.n ho jaa.e
Bedam Shah Warsi
Sher
rishta-e-umar-daraaz apnaa mai.n kotaah karuu.n
aave ye taar agar tere ba-kaar-e-daaman
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jo merii chashm ke parde shariik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar ba.Dh jaataa
Rasheed Lakhnavi
Sher
bahut latiif hai.n kaifiyyate.n mohabbat kii
vo bul-havas hai jo kartaa hai jaib o daaman chaak
Mirza Ehsan Beg
Sher
itnii na ba.Dhaa paakii-e-daamaa.n kii hikaayat
daaman ko zaraa dekh zaraa band-e-qabaa dekh
Shefta Mustafa Khan
Sher
Gam se nisbat hai jinhe.n zabt-e-alam karte hai.n
ashk ko ziinat-e-daamaa.n nahii.n hone dete
Abrar Kiratpuri
Sher
Saail Dehlvi
Sher
Nisar Itavi
Sher
chhaa.e phuulo.n se bhii sayyaad to aabaad na ho
vo qafas kyaa jo tah-e-daaman-esayyaad na ho