SEARCH RESULTS
Showing search results for "tapaak"
Sher MATCHES FOR "tapaak"
Sher
Bashir Badr
Sher
mil kar tapaak se na hame.n kiijiye udaas
KHaatir na kiijiye kabhii ham bhii yahaa.n ke the
Jaun Eliya
Sher
mile mujh ko Gam se fursat to sunaa.uu.n vo fasaana
ki Tapak pa.De nazar se mai-e-ishrat-e-shabaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
naaseh ne meraa haal jo mujh se bayaa.n kiyaa
aa.nsuu Tapak pa.De mire be-iKHtiyaar aaj
Dagh Dehlvi
Sher
dil mat Tapak nazar se ki paayaa na jaa.egaa
juu.n ashk phir zamii.n se uThaayaa na jaa.egaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Tapak ke diida-e-nam se sadaa.e.n detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah me.n thaa
Khalid Mubashshir
Sher
libaas me.n hai vo tarz-e-tapaak-e-aaraa.ish
jo a.ng chaahe chhupaanaa jhalak jhalak jaa.e
Akbar Hameedi
Sher
gayaa shabaab par itnaa rahaa ta.alluq-e-ishq
dil o jigar me.n tapak gaah gaah hotii hai
Taashshuq Lakhnavi
Sher
kyaa jaaniye ki baaham kyuu.n ham me.n aur us me.n
mauquuf ho gayaa hai ab vo tapaak honaa
Meer Hasan
Sher
yaaraan-e-bazm-dahr me.n kyaa kyaa tapaak thaa
lekin jab uTh ga.e to na baar-e-digar mile
Ismail Merathi
Sher
dillii me.n aaj bhiik bhii miltii nahii.n unhe.n
thaa kal talak dimaaG jinhe.n taaj-o-taKHt kaa
Meer Taqi Meer
Sher
baat niklegii to phir duur talak jaa.egii
log be-vaj.h udaasii kaa sabab puuchhe.nge
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
dekhii thii ek raat tirii zulf KHvaab me.n
phir jab talak jiyaa mai.n pareshaan hii rahaa
Raza Azimabadi
Sher
apnii taraf to mai.n bhii nahii.n huu.n abhii talak
aur us taraf tamaam zamaana usii kaa hai
Ameer Imam
Sher
talaaq de to rahe ho itaab-o-qahr ke saath
miraa shabaab bhii lauTaa do merii mahr ke saath
Sajid Sajni Lakhnawi
Sher
sutuun-e-daar pe rakhte chalo saro.n ke charaaG
jahaa.n talak ye sitam kii siyaah raat chale