SEARCH RESULTS
Showing search results for "taraash"
Sher MATCHES FOR "taraash"
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
ik raat chaa.ndnii mire bistar pe aa.ii thii
mai.n ne taraash kar tiraa chehra banaa diyaa
Ahmad Mushtaq
Sher
Ahmad Faraz
Sher
husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahii.n lagaa
mai.n ne taraash lii hai KHizaa.n apne haath se
Sarvat Husain
Sher
mujhe taraash ke rakh lo ki aane vaalaa vaqt
KHazaf dikhaa ke guhar kii misaal puuchhegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
palak jhapakne me.n kuchh KHvaab TuuT jaate hai.n
jo but-shikan hai vahii lamha but-taraash bhii thaa
Tanveer Ahmad Alvi
Sher
alfaaz madah-KHvaa.n the qalam the bike hu.e
kaise taraash lete ko.ii shaah-kaar ham
Abdul Mateen Niyaz
Sher
kyaa dil kii pyaas thii ki bujhaa.ii na jaa sakii
baadal nicho.D ke na samundar taraash ke
Kausar Siwani
Sher
taraash aur bhii apne tasavvur-e-rab ko
tire KHudaa se to behtar miraa sanam hai abhii
Ata Turab
Sher
vaamaa.ndgaan-e-raah to manzil pe jaa pa.De
ab tuu bhii ai 'naziir' yahaa.n se qadam taraash
Nazeer Akbarabadi
Sher
Jaun Eliya
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
puuchhaa jo un se chaa.nd nikaltaa hai kis tarah
zulfo.n ko ruKH pe Daal ke jhaTkaa diyaa ki yuu.n
Arzoo Lakhnavi
Sher
koshish bhii kar umiid bhii rakh raasta bhii chun
phir is ke baa'd tho.Daa muqaddar talaash kar
Nida Fazli
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe