SEARCH RESULTS
Showing search results for "taraashne"
Sher MATCHES FOR "taraashne"
Sher
mai.n ek sang huu.n mujh me.n hai.n suurate.n pinhaa.n
mujhe taraashne aazar to saamne aa.e
Firdaus Gayavi
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
uf vo marmar se taraashaa hu.aa shaffaaf badan
dekhne vaale use taaj-mahal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
mai.n aa.ndhiyo.n ke paas talaash-e-sabaa me.n huu.n
tum mujh se puuchhte ho miraa hausla hai kyaa
Ada Jafarey
Sher
mirii jagah ko.ii aa.iina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe me.n meraa kaam hai kyaa
Zeb Ghauri
Sher
kahaa.n ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhii to log taraste hai.n zindagii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
Muneer Niyazi
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
kuchh log jo savaar hai.n kaaGaz kii naav par
tohmat taraashte hai.n havaa ke dabaav par
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
ik raat chaa.ndnii mire bistar pe aa.ii thii
mai.n ne taraash kar tiraa chehra banaa diyaa
Ahmad Mushtaq
Sher
duur se aa.e the saaqii sun ke mai-KHaane ko ham
bas taraste hii chale afsos paimaane ko ham
Nazeer Akbarabadi
Sher
zaraa sii chaa.e girii aur daaG daaG varaq
ye zindagii hai ki aKHbaar kaa taraashaa hai
Aamir Suhail
Sher
ye chaar din ke tamaashe hai.n aah duniyaa ke
rahaa jahaa.n me.n sikandar na aur na jam baaqii
Bhartendu Harishchandra
Sher
do hii din me.n ye sanam hosh-rubaa hote hai.n
kal ke tarshe hu.e but aaj KHudaa hote hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ham taraste hii taraste hii taraste hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
ye baat yaad rakhe.nge talaashne vaale
jo us safar pe ga.e lauT kar nahii.n aa.e
Aashufta Changezi
Sher
tamaam umr KHushii kii talaash me.n guzrii
tamaam umr taraste rahe KHushii ke liye