SEARCH RESULTS
Showing search results for "taras"
Sher MATCHES FOR "taras"
Sher
log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.n jalaane me.n
Bashir Badr
Sher
bastii me.n apnii hinduu musalmaa.n jo bas ga.e
insaa.n kii shakl dekhne ko ham taras ga.e
Kaifi Azmi
Sher
qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tuul
kahnaa faqat ye un se ki aa.nkhe.n taras ga.ii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
sun.ne vaale ro diye sun kar mariiz-e-Gam kaa haal
dekhne vaale taras khaa kar du.aa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
kaisaa insaa.n taras rahaa hai jiine ko
kaise saahil par ik machhlii zinda hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
vo suurat dekh kar apnii ye suurat hii nahii.n rahtii
taras aa.e to kyaa aa.e use merii musiibat par
Jaleel Manikpuri
Sher
ko.ii to aa ke rulaa de ki ha.ns rahaa huu.n mai.n
bahut dino.n se KHushii ko taras rahaa huu.n mai.n
Shaz Tamkanat
Sher
bahtii rahii nadii mire ghar ke qariib se
paanii ko dekhne ke liye mai.n taras gayaa
Iftikhar Naseem
Sher
Shabbir Hasan
Sher
dekhtaa huu.n tuu nahii.n rahm ke qaabil ko.ii
sochtaa huu.n to hazaaro.n taras aataa hai
Obaid Azam Azmi
Sher
taras rahii thii.n ye aa.nkhe.n kisii kii suurat ko
so ham bhii dasht me.n aab-e-ravaa.n uThaa laa.e
Salim Saleem
Sher
kahaa.n milegii bhalaa is sitamgarii kii misaal
taras bhii khaataa hai mujh par tabaah kar ke mujhe
Waqar Manvi
Sher
tujhe pata thaa mai.n tere baGair kuchh bhii nahii.n
zaraa taras bhii na aaya tujhe bichha.Dte hu.e