SEARCH RESULTS
Showing search results for "tariiqe"
Sher MATCHES FOR "tariiqe"
Sher
aur bhii kitne tariiqe hai.n bayaan-e-Gam ke
muskuraatii hu.ii aa.nkho.n ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
Allama Iqbal
Sher
hai.n sau tariiqe aur bhii ai be-qaraar dil
iz.haar-e-shikva shikve ke andaaz me.n na ho
Manzar Lakhnavi
Sher
qahr hai tho.Dii sii bhii Gaflat tariiq-e-ishq me.n
aa.nkh jhapkii qais kii aur saamne mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
sab apne apne tariiqe se bhiik maa.ngte hai.n
ko.ii ba-naam-e-mohabbat ko.ii ba-jaama-e-ishq
Abid Wadood
Sher
tariiq-e-dilbarii kaafii nahii.n har-dil-aziizii ko
saliiqa banda-parvar chaahiye banda-navaazii kaa
Natiq Gulavthi
Sher
apne maz.hab me.n hai ik shart tariiq-e-iKHlaas
kuchh Garaz kufr se rakhte hai.n na islaam se ham
Santokh Rai Betab
Sher
Gurbat bas ab tariiq-e-mohabbat ko qat.a kar
muddat hu.ii hai ahl-e-vatan se judaa hu.e
Habeeb Moosavi
Sher
na kyuu.n ki ashk-e-musalsal ho rahnumaa dil kaa
tariiq-e-ishq me.n jaarii hai silsila dil kaa
Shah Naseer
Sher
ham ko u.Dne ke tariiqe na sikhaa.o ham log
pe.D se aa.e hai.n pi.njre se nahii.n aa.e hai.n
Saleem Siddiqui
Sher
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariiq-e-aashnaa.ii na rusuum-e-jaam-o-baadaa
Mohammad Deen Taseer
Sher
taarik-e-duniyaa hai jab se 'muntahii'
misl-e-beva maadar-e-ayyaam hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajuud
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii