SEARCH RESULTS
Showing search results for "tasbiih-o-tahliil-o-ibaadat"
Sher MATCHES FOR "tasbiih-o-tahliil-o-ibaadat"
Sher
judaa jo ho ga.e tasbiih-e-roz-o-shab se 'adiil'
mai.n zindagii me.n vo daane piro nahii.n saktaa
Adeel Zaidi
Sher
taariiKH-e-kaa.enaat-e-ibaadat junuu.n se hai
unvaan-e-aql-o-hosh hai diivaangii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
mehraab-e-ibaadat KHam-e-abru hai buto.n kaa
kar baiThe hai.n ka.abe ko musalmaan faraamosh
Mubarak Azimabadi
Sher
KHauf-e-dozaKH se kabhii KHvaahish-e-jannat se kabhii
mujh ko is tarz-e-ibaadat pe ha.nsii aatii hai
Unknown
Sher
Abhishek Shukla
Sher
laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijaazat
maare ga.e phir vaadii-e-inkaar me.n ham log
Aziz Nabeel
Sher
vo shaKHs apnii jagah hai muraqqa-e-tahziib
ye aur baat hai ki qaatil usii kaa naam bhii hai
Ravish Siddiqi
Sher
use bhii parda-e-tahziib ko giraanaa hai
mujhe bhii paikar-e-naayaab se nikalnaa hai
Tahir Adeem
Sher
me.araaj-e-aqiidat hai ki ta.aviiz kii suurat
baazuu pe ko.ii KHaak-e-vatan baa.ndhe hu.e hai
Anjum Barabankvi
Sher
taKHliiq-e-kaa.enaat ke dilchasp jurm par
ha.nstaa to hogaa aap bhii yazdaa.n kabhii kabhii
Abdul Hamid Adam
Sher
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
ye baato.n me.n narmii ye tahziib-o-aadaab
sabhii kuchh milaa ham ko urdu zabaa.n se