SEARCH RESULTS
Showing search results for "tavakkul"
Sher MATCHES FOR "tavakkul"
Sher
mard-e-darvesh huu.n takiya hai tavakkul meraa
KHarch har roz hai yaa.n aamad-e-baalaa.ii kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ham vo falak hai.n ahl-e-tavakkul ki misl-e-maah
rakhte nahii.n hai.n naan-e-shabiina baraa-e-sub.h
Shah Naseer
Sher
Shah Naseer
Sher
qabro.n me.n nahii.n ham ko kitaabo.n me.n utaaro
ham log mohabbat kii kahaanii me.n mare.n hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
gul ke hone kii tavaqqo.a pe jiye baiThii hai
har kalii jaan ko muTThii me.n liye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Sher
mohabbat baa.nTanaa siikho mohabbat hai ataa rab kii
mohabbat baa.nTne vaale taviil-ul-umr hote hai.n
Bashir Mehtaab
Sher
bahtii hu.ii aa.nkho.n kii ravaanii me.n mare hai.n
kuchh KHvaab mire ain-javaanii me.n mare hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
mushkil-e-ishq me.n laazim hai tahammul 'saaqib'
baat big.Dii hu.ii bantii nahii.n ghabraane se
Saqib Lakhnavi
Sher
ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banaa diyaa
dariyaa samajh ke kuud pa.De ham saraab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
zindagii jaisii tavaqqo thii nahii.n kuchh kam hai
har gha.Dii hotaa hai ehsaas kahii.n kuchh kam hai
Shahryar
Sher
ham ko shaaho.n kii adaalat se tavaqqo to nahii.n
aap kahte hai.n to zanjiir hilaa dete hai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
zamaana saKHt kam-aazaar hai ba-jaan-e-asad
vagarna ham to tavaqqo zyaada rakhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
hu.ii jin se tavaqqo KHastagii kii daad paane kii
vo ham se bhii ziyaada KHasta-e-teG-e-sitam nikle
Mirza Ghalib
Sher
unhe.n to sitam kaa mazaa pa.D gayaa hai
kahaa.n kaa tajaahul kahaa.n kaa taGaaful
Bekhud Dehlvi
Sher
rafaaqato.n kaa tavaazun agar biga.D jaa.e
KHamoshiyo.n ke ta.aavun se ghar chalaa lenaa