SEARCH RESULTS
Showing search results for "thirak"
Sher MATCHES FOR "thirak"
Sher
haa.n Thiik hai mai.n apnii anaa kaa mariiz huu.n
aaKHir mire mizaaj me.n kyuu.n daKHl de ko.ii
Jaun Eliya
Sher
ab ye bhii nahii.n Thiik ki har dard miTaa de.n
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
thak gayaa mai.n karte karte yaad tujh ko
ab tujhe mai.n yaad aanaa chaahtaa huu.n
Qateel Shifai
Sher
ye Thiik hai nahii.n martaa ko.ii judaa.ii me.n
KHudaa kisii ko kisii se magar judaa na kare
Qateel Shifai
Sher
yahii vo din the jab ik duusre ko paayaa thaa
hamaarii saal-girah Thiik ab ke maah me.n hai
Parveen Shakir
Sher
Zeb Ghauri
Sher
Munawwar Rana
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
thak gayaa hai dil-e-vahshii miraa fariyaad se bhii
jii bahaltaa nahii.n ai dost tirii yaad se bhii
Parveen Shakir
Sher
Thiik hai jaa.o ta'alluq na rakhe.nge ham bhii
tum bhii va.ada karo ab yaad nahii.n aa.oge
Aleena Itrat
Sher
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahii.n ko.ii
kyuu.n vaqt ek mo.D pe Thahraa hu.aa saa hai
Shahryar
Sher
dayaar-e-nuur me.n tiira-shabo.n kaa saathii ho
ko.ii to ho jo mirii vahshato.n kaa saathii ho
Iftikhar Arif
Sher
thak thak ke tirii raah me.n yuu.n baiTh gayaa huu.n
goyaa ki bas ab mujh se safar ho nahii.n saktaa
Kashfi Multani
Sher
pa.Dhte pa.Dhte thak ga.e sab log tahriire.n mirii
likhte likhte shahr kii diivaar kaalii ho ga.ii