SEARCH RESULTS
Showing search results for "thumke"
Sher MATCHES FOR "thumke"
Sher
tum ne kiyaa na yaad kabhii bhuul kar hame.n
ham ne tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa diyaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
Gairo.n se kahaa tum ne Gairo.n se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
aadat hii banaa lii hai tum ne to 'muniir' apnii
jis shahr me.n bhii rahnaa uktaa.e hu.e rahnaa
Muneer Niyazi
Sher
mujh ko to hosh nahii.n tum ko KHabar ho shaayad
log kahte hai.n ki tum ne mujhe barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
kho diyaa tum ko to ham puuchhte phirte hai.n yahii
jis kii taqdiir biga.D jaa.e vo kartaa kyaa hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
dil bhii to.Daa to saliiqe se na to.Daa tum ne
bevafaa.ii ke bhii aadaab hu.aa karte hai.n
Mahtab Alam
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
tum ko chaahaa to KHataa kyaa hai bataa do mujh ko
duusraa ko.ii to apnaa saa dikhaa do mujh ko
Dagh Dehlvi
Sher
Andaleeb Shadani
Sher
hairat hai tum ko dekh ke masjid me.n ai 'KHumaar'
kyaa baat ho ga.ii jo KHudaa yaad aa gayaa