SEARCH RESULTS
Showing search results for "tokaa"
Sher MATCHES FOR "tokaa"
Sher
haath chhuuTe.n bhii to rishte nahii.n chho.Daa karte
vaqt kii shaaKH se lamhe nahii.n to.Daa karte
Gulzar
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
dil bhii to.Daa to saliiqe se na to.Daa tum ne
bevafaa.ii ke bhii aadaab hu.aa karte hai.n
Mahtab Alam
Sher
aa.nkh se aa.nkh milaanaa to suKHan mat karnaa
Tok dene se kahaanii kaa mazaa jaataa hai
Mohsin Asrar
Sher
ham ko kis ke Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kis ne to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
KHvaab kaa rishta haqiiqat se na jo.Daa jaa.e
aa.iina hai ise patthar se na to.Daa jaa.e
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
aa.nkhe.n sahar talak mirii dar se lagii rahii.n
kyaa puuchhte ho haal shab-e-intizaar kaa
Lala Tika Ram
Sher
har vaqt khilte phuul kii jaanib takaa na kar
murjhaa ke pattiyo.n ko bikharte hu.e bhii dekh
Mohammad Alvi
Sher
to.Daa hai dam abhii abhii biimaar-e-hijr ne
aa.e magar huzuur ko taaKHiir ho ga.ii
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
mujhe ta.aviiz likh do KHuun-e-aahuu se ki ai syaano
taGaaful ToTkaa hai aur jaaduu hai nazar us kii
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
bas ek baar hii to.Daa jahaa.n ne ahd-e-vafaa
kisii se ham ne phir ahd-e-vafaa kiyaa hii nahii.n