SEARCH RESULTS
Showing search results for "tuf-e-aah"
Sher MATCHES FOR "tuf-e-aah"
Sher
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
ya.anii pale hu.e isii aab-o-havaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
na KHauf-e-aah buto.n ko na Dar hai naalo.n kaa
ba.Daa kaleja hai in dil dukhaane vaalo.n kaa
Jalal Lakhnavi
Sher
is ashk o aah me.n saudaa biga.D na jaa.e kahii.n
ye dil kuchh aab-rasiida hai kuchh jalaa bhii hai
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
biich me.n hai mere us ke tuu hii ai aah-e-hazii.n
sulh kyuu.nkar hove jab tak darmiyaa.n ko.ii na ho
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
duud-e-aah-e-jigarii kaam na aayaa yaaro
varna ruu-e-shab-e-hijr aur bhii kaalaa kartaa
Shah Naseer
Sher
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kii aab-o-havaa
aashiqo har-vaqt shaGl-e-aah-o-zaarii chaahiye
Rasheed lakhnavi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
nikle hai.n ghar se dekhne ko log maah-e-iid
aur dekhte hai.n abruu-e-KHamdaar kii taraf
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jo faqr me.n suruur hai shaahii me.n vo kahaa.n
ham bhii rahe hai.n nashsha-e-daulat me.n chaar din
A G Josh
Sher
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-taviil kaa ye iKHtisaar hai