SEARCH RESULTS
Showing search results for "turbat"
Sher MATCHES FOR "turbat"
Sher
sach hai ehsaan kaa bhii bojh bahut hotaa hai
chaar phuulo.n se dabii jaatii hai turbat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
ba.ad marne ke bhii chho.Dii na rifaaqat merii
merii turbat se lagii baiThii hai hasrat merii
Ameer Minai
Sher
un se iz.haar-e-mohabbat jo ko.ii kartaa hai
duur se us ko dikhaa dete hai.n turbat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
dard kii baat kisii ha.nstii hu.ii mahfil me.n
jaise kah de kisii turbat pe latiifa ko.ii
Ahmad Rahi
Sher
Ameer Minai
Sher
ai 'mus.hafii' turbat kaa mirii naam na lenaa
gar puuchhe to kahiyo ki hai dargaah kisii kii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
ek din vo thaa ki gulshan me.n basar hotii thii
aaj do phuul ko mohtaaj hai turbat merii
Maqsood Gelvi
Sher
jism ne ruuh-e-ravaa.n se ye kahaa turbat me.n
ab mujhe chho.D ke tanhaa tuu kahaa.n jaatii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gar aur bhii mirii turbat pe yaar Thahregaa
to zer-e-KHaak na ye be-qaraar Thahregaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shahr me.n apne ye lailaa ne munaadii kar dii
ko.ii patthar se na maare mire diivaane ko
Turab Kakorvi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
chaahiye kyaa tumhe.n tohfe me.n bataa do varna
ham to baazaar ke baazaar uThaa laa.e.nge
Ata Turab
Sher
ajiib turfa-tamaashaa hai mere ahd ke log
savaal karne se pahle javaab maa.ngte hai.n
Abbas Rizvi
Sher
turaab-e-paa-e-hasiinaan-e-lakhna.uu hai ye
ye KHaaksaar hai 'aKHtar' ko naqsh-e-paa kahiye