SEARCH RESULTS
Showing search results for "turk"
Sher MATCHES FOR "turk"
Sher
jab bachcho.n ko dekhtaa huu.n to sochtaa huu.n
maalik in phuulo.n kii umr daraaz kare
Ziaul Mustafa Turk
Sher
tuu kisii sub.h sii aa.ngan me.n utar aatii hai
mai.n kisii dhuup saa daalaan me.n aa jaataa huu.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
Ziaul Mustafa Turk
Sher
abruu aa.nchal me.n dupaTTe ke chhupaanaa hai bajaa
turk kyaa myaan me.n rakhte nahii.n talvaaro.n ko
Mardan Ali Khan Rana
Sher
kivaa.D khulne se pahle hii din nikal aayaa
bashaarate.n abhii saamaan me.n pa.Dii hu.ii thii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
har ek saaz ko saazindagaa.n nahii.n darkaar
badan ko zarbat-e-mizraab se ilaaqa nahii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
abr se aur dhuup se rishta hai ek saa miraa
aa.ine aur charaaG ke biich kaa faasla huu.n mai.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
kisii safar kisii asbaab se ilaaqa nahii.n
tumhaare baad kisii KHvaab se ilaaqa nahii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
tire Gayaab ko maujuud me.n badalte hu.e
kabhii mai.n KHud ko tire naam se bulaataa hu.aa
Ziaul Mustafa Turk
Sher
yuu.n to mus.haf bhii uThaa.e ga.e qasme.n bhii magar
aaKHirii faisla talvaar uThaane se hu.aa
Ziaul Mustafa Turk
Sher
Ziaul Mustafa Turk
Sher
samajh paayaa nahii.n par sun rahaa huu.n
vo sargoshii me.n kyaa kyaa kah rahii hai
Ziaul Mustafa Turk
Sher
tirii KHvaahish kisii imkaa.n kii suurat
hamesha mujh me.n tah-dar-tah rahii hai
Ziaul Mustafa Turk
Sher
ham apne aap se bhii ham-suKHan na hote the
ki saarii mushkile.n aasaan me.n pa.Dii hu.ii thii.n
Ziaul Mustafa Turk
Sher
mere girya se na aazaar uThaane se hu.aa
faasla tai na.ii diivaar uThaane se hu.aa