SEARCH RESULTS
Showing search results for "uThaa.e"
Sher MATCHES FOR "uThaa.e"
Sher
aa.nkhe.n jo uThaa.e to mohabbat kaa gumaa.n ho
nazro.n ko jhukaa.e to shikaayat sii lage hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
dosto.n se is qadar sadme uThaa.e jaan par
dil se dushman kii adaavat kaa gila jaataa rahaa
Haidar Ali Aatish
Sher
sub.h hote hii nikal aate hai.n baazaar me.n log
gaThriyaa.n sar pe uThaa.e hu.e iimano.n kii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
vazn har chiiz kii tauqiir ba.Dhaa detaa hai
zindagii bojh sahii phir bhii uThaa.e rakhiye
Taj Bhopali
Sher
mai.n jis kii aa.nkh kaa aa.nsuu thaa us ne qadr na kii
bikhar gayaa huu.n to ab ret se uThaa.e mujhe
Bashir Badr
Sher
Shahryar
Sher
jo pardo.n me.n KHud ko chhupaa.e hu.e hai.n
qayaamat vahii to uThaa.e hu.e hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
uThaa.e phirtaa rahaa mai.n bahut mohabbat ko
phir ek din yuu.nhii sochaa ye kyaa musiibat hai
Anjum Saleemi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kah sake kaun ki ye jalvagarii kis kii hai
parda chho.Daa hai vo us ne ki uThaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
zindagii ham se tire naaz uThaa.e na ga.e
saa.ns lene kii faqat rasm adaa karte the
Shaz Tamkanat
Sher
vo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.e
balaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
guzar rahaa huu.n kisii KHvaab ke ilaaqe se
zamii.n sameTe hu.e aasmaa.n uThaa.e hu.e
Aziz Nabeel
Sher
ehsaan naa-KHudaa kaa uThaa.e mirii balaa
kashtii KHudaa pe chho.D duu.n la.ngar ko to.D duu.n