SEARCH RESULTS
Showing search results for "ubharte"
Sher MATCHES FOR "ubharte"
Sher
na jaane kaisaa samundar hai ishq kaa jis me.n
kisii ko dekhaa nahii.n Duub ke ubharte hu.e
Faragh Rohvi
Sher
ye kyaa ki roz ubharte ho roz Duubte ho
tum ek baar me.n Garqaab kyuu.n nahii.n hote
Bharat Bhushan Pant
Sher
vaqt ik mauj hai aataa hai guzar jaataa hai
Duub jaate hai.n jo lamhaat ubharte kab hai.n
Farooq Shamim
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
be-karaa.n dasht-e-tasavvur me.n bhaTakne ke nuquush
mauj-dar-mauj saraabo.n se ubharte ho.nge
Riasath Ali Asrar
Sher
vahii.n bahaar-ba-kaf qaafile lapak ke chale
jahaa.n jahaa.n tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
Aziz Tamannai
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
tujh se kis tarah mai.n iz.haar-e-tamannaa kartaa
lafz suujhaa to ma.aanii ne baGaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
ek vo hai.n ki jinhe.n apnii KHushii le Duubii
ek ham hai.n ki jinhe.n Gam ne ubharne na diyaa
Azad Gulati
Sher
aa.nkho.n se mohabbat ke ishaare nikal aa.e
barsaat ke mausam me.n sitaare nikal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
haa.n samundar me.n utar lekin ubharne kii bhii soch
Duubne se pahle gahraa.ii kaa andaaza lagaa
Arsh Siddiqui
Sher
hazrat-e-daaG jahaa.n baiTh ga.e baiTh ga.e
aur ho.nge tirii mahfil se ubharne vaale
Dagh Dehlvi
Sher
zaraa saa qatra kahii.n aaj agar ubhartaa hai
samundaro.n hii ke lahje me.n baat kartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
tum mere liye itne pareshaan se kyuu.n ho
mai.n Duub bhii jaataa to kahii.n aur ubhartaa
Muneer Niyazi
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa
Andaleeb Shadani
Sher
iz.haar-e-ishq us se na karnaa thaa 'sheftaa'
ye kyaa kiyaa ki dost ko dushman banaa diyaa
Shefta Mustafa Khan
Sher
kis qadar yaade.n ubhar aa.ii hai.n tere naam se
ek patthar phe.nkne se pa.D ga.e kitne bha.nvar