SEARCH RESULTS
Showing search results for "uj.Dii"
Sher MATCHES FOR "uj.Dii"
Sher
mai.n ne aabaad kiye kitne hii viiraane 'hafiiz'
zindagii merii ik uj.Dii hu.ii mahfil hii sahii
Hafeez Banarasi
Sher
apnii uj.Dii hu.ii duniyaa kii kahaanii huu.n mai.n
ek big.Dii hu.ii tasviir-e-javaanii huu.n mai.n
Akhtar Ansari
Sher
Mahshar Badayuni
Sher
dil kii uj.Dii hu.ii haalat pe na jaa.e ko.ii
shahr aabaad hu.e hai.n isii viiraane se
Nazeer Banarasi
Sher
ho ga.ii hai mirii uj.Dii hu.ii duniyaa aabaad
mai.n use Dhuu.nDh rahaa huu.n ye bataane ke liye
Shakeel Jamali
Sher
in uj.Dii bastiyo.n kaa ko.ii to nishaa.n rahe
chuulhe jale.n ki ghar hii jale.n par dhu.aa.n rahe
Ezaz Ahmad Azar
Sher
ek uj.Dii hu.ii hasrat hai ki paagal ho kar
bain har shahr me.n kartii hu.ii dekhii ga.ii hai
Rafi Raza
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
ye u.Dii u.Dii sii ra.ngat ye khule khule se gesuu
tirii sub.h kah rahii hai tirii raat kaa fasaana
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
lagtaa nahii.n hai dil miraa uj.De dayaar me.n
kis kii banii hai aalam-e-naa-paa.edaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
jo dekhtaa huu.n vahii bolne kaa aadii huu.n
mai.n apne shahr kaa sab se ba.Daa fasaadii huu.n
Shakeel Shah
Sher
Fani Badayuni
Sher
sahraa ko bahut naaz hai viiraanii pe apnii
vaaqif nahii.n shaayad mire uj.De hu.e ghar se
Khumar Barabankavi
Sher
aavaaz de rahaa thaa ko.ii mujh ko KHvaab me.n
lekin KHabar nahii.n ki bulaayaa kahaa.n gayaa