SEARCH RESULTS
Showing search results for "ujjain"
Sher MATCHES FOR "ujjain"
Sher
Munawwar Rana
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
lahja ki jaise sub.h kii KHushbuu azaan de
jii chaahtaa hai mai.n tirii aavaaz chuum luu.n
Bashir Badr
Sher
dii mu.azzin ne shab-e-vasl azaa.n pichhle pahr
haa.e kambaKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
naaquus se Garaz hai na matlab azaa.n se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostaa.n se hai
Zafar Ali Khan
Sher
kartaa rahaa mai.n minnate.n kam kii na kuchh du.aa
haasil hu.aa na kuchh to KHudaa be-asar lagaa
Ozair Rahman
Sher
masjid kaa ye maa.ik jo uThaa laa.e ho ai 'anvar'
kyaa jaaniye kis vaqt azaa.n dene lagegaa
Anwar Masood
Sher
Mohammad Alvi
Sher
Nushur Wahidi
Sher
azaa.n pe qaid nahii.n bandish-e-namaaz nahii.n
hamaare paas to hijrat kaa bhii javaaz nahii.n
Anjum Khayali
Sher
reKHta-go.ii kii buniyaad 'valii' ne Daalii
ba.ad-azaa.n KHalq ko 'mirzaa' se hai aur 'miir' se faiz
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
bahut dino.n me.n vo aa.e hai.n vasl kii shab hai
mo.azzin aaj na yaarab uThe azaa.n ke liye
Habeeb Moosavi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
ajab mushkil hai kyaa kahiye baGair-az-jaan dene ke
ko.ii naqsha nazar aataa nahii.n aasaan milne kaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
hai pyaar kaa ye khel kahaa.n makr se KHaalii
lekin dil-e-naadaa.n ko dikhaanaa nahii.n aayaa
Ozair Rahman
Sher
but-KHaane me.n kyaa yaad-e-ilaahii nahii.n mumkin
naaquus se kyaa kaar-e-azaa.n ho nahii.n saktaa
Muztar Khairabadi
Sher
KHayaal aayaa hame.n bhii KHudaa kii rahmat kaa
sunaa.ii jab bhii pa.Dii hai azaan pinjre me.n
Akhilesh Tiwari
Sher
mai.n KHvaab me.n bhii use khul ke pyaar kar na sakaa
ki sha.nkh bajne lagaa aur azaan hone lagii