SEARCH RESULTS
Showing search results for "ukha.Dtii"
Sher MATCHES FOR "ukha.Dtii"
Sher
mai.n chup karaataa huu.n har shab umaDtii baarish ko
magar ye roz ga.ii baat chhe.D detii hai
Gulzar
Sher
allaah jaane kis pe aka.Dtaa thaa raat din
kuchh bhii nahii.n thaa phir bhii ba.Daa bad-zabaan thaa
Adil Mansuri
Sher
Jan Nisar Akhtar
Sher
pyaar vo pe.D hai sau baar ukhaa.Do dil se
phir bhii siine me.n ko.ii daab salaamat rah jaa.e
Jaleel 'Aali'
Sher
zamii.n pe paa.nv zaraa ehtiyaat se dharnaa
ukha.D ga.e to qadam phir kahaa.n sambhalte hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
kis zaalim ne par pe.Do.n ke kaaT diye
aag ugaltii dhuup me.n saaya kahii.n nahii.n
Zameer Azhar
Sher
apne daraaz-qad pe bahut naaz thaa jinhe.n
vo pe.D aa.ndhiyo.n me.n zamii.n se ukha.D ga.e
Nafas Ambalvi
Sher
zaKHm-dar-zaKHm suKHan aur bhii hotaa hai vasii.a
ashk-dar-ashk ubhartii hai qalamkaar kii guu.nj
Saleem Siddiqui
Sher
ek KHushbuu sii ubhartii hai nafas se mere
ho na ho aaj ko.ii aan basaa hai mujh me.n
Masooda Hayat
Sher
KHud apnii fikr ugaatii hai vahm ke kaa.nTe
ulajh ulajh ke miraa har savaal Thahraa hai
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
kaar-gaah-e-duniyaa kii nestii bhii hastii hai
ik taraf uja.Dtii hai ek samt bastii hai
Yagana Changezi
Sher
KHema-e-jaa.n kii tanaabo.n ko ukha.D jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa Gam bhii bichha.D jaanaa thaa
Najeeb Ahmad
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
is qadar tez na chal saa.ns ukha.D jaa.egaa
tai na kar raah-e-talab ek hii raftaar se tuu
Shahzad Ahmad
Sher
Guruur-e-tishna-dahaanii tirii baqaa kii qasam
nadii hamaare labo.n kii taraf uchhaltii rahii