SEARCH RESULTS
Showing search results for "uljhane.n"
Sher MATCHES FOR "uljhane.n"
Sher
bahut iraada kiyaa ko.ii kaam karne kaa
magar amal na hu.aa uljhane.n hii aisii thii.n
Anwar Shuoor
Sher
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
ik yaqii.n-parvar gumaa.n aur ik hayaat-aamez KHvaab
jaise ko.ii aa.egaa aur uljhane.n le jaa.egaa
Asim nadeem Asi
Sher
Sarmad Sahbai
Sher
vo mirii ruuh kii uljhan kaa sabab jaantaa hai
jism kii pyaas bujhaane pe bhii raazii niklaa
Saqi Faruqi
Sher
inkaar hii kar diijiye iqraar nahii.n to
uljhan hii me.n mar jaa.egaa biimaar nahii.n to
Iftikhar Raghib
Sher
vaqt aur haalaat par kyaa tabsira kiije ki jab
ek uljhan duusrii uljhan ko suljhaane lage
Chandrabhan Khayal
Sher
KHaaro.n se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhe.n
siikhe ko.ii andaaz-e-shariifaana hamaaraa
Shad Azimabadi
Sher
mere dil ne dekhaa hai yuu.n bhii un ko uljhan me.n
baar baar kamre me.n baar baar aa.ngan me.n
Kaif Bhopali
Sher
vahii jo detaa hai duniyaa ko uljhano.n se najaat
kabhii kabhii vahii uljhan me.n Daal detaa hai
Firdaus Gayavi
Sher
kuchh nahii.n ma.aluum hotaa dil kii uljhan kaa sabab
kis ko dekhaa thaa ilaahii baal suljhaate hu.e
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
Akhtar Muslimi
Sher
daam-e-KHushbuu me.n giraftaar sabaa hai kab se
lafz iz.haar kii uljhan me.n pa.Daa hai kab se
Amjad Islam Amjad
Sher
ek uljhan raat din paltii rahii dil me.n ki ham
kis nagar kii KHaak the kis dasht me.n Thahre rahe
Baqa Baluch
Sher
Ilyas Ishqi
Sher
mai.n ne duniyaa chho.D dii lekin miraa murda badan
ek uljhan kii tarah qaatil kii nazro.n me.n rahaa
Nazeer Baaqri
Sher
aap dariyaa kii ravaanii se na uljhe.n hargiz
tah me.n us ke ko.ii girdaab bhii ho saktaa hai