SEARCH RESULTS
Showing search results for "uljho"
Sher MATCHES FOR "uljho"
Sher
bahut Guruur hai dariyaa ko apne hone par
jo merii pyaas se uljhe to dhajjiyaa.n u.D jaa.e.n
Rahat Indori
Sher
Bashir Badr
Sher
kyaa kyaa hu.aa hai ham se junuu.n me.n na puuchhiye
uljhe kabhii zamii.n se kabhii aasmaa.n se ham
Asrarul Haq Majaz
Sher
kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.n
kab tak ko.ii uljhii hu.ii zulfo.n ko sa.nvaare
Habib Jalib
Sher
ham log na uljhe hai.n na uljhe.nge kisii se
ham ko to hamaaraa hii garebaan bahut hai
Suroor Barabankvi
Sher
kab tak najaat paa.e.nge vahm o yaqii.n se ham
uljhe hu.e hai.n aaj bhii duniyaa o dii.n se ham
Saba Akbarabadi
Sher
daf.atan tark-e-ta.alluq me.n bhii rusvaa.ii hai
uljhe daaman ko chhu.Daate nahii.n jhaTkaa de kar
Arzoo Lakhnavi
Sher
uljhaa hai paa.nv yaar kaa zulf-e-daraaz me.n
lo aap apne daam me.n sayyaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Sher
ham bhii ik shaam bahut uljhe hu.e the KHud me.n
ek shaam us ko bhii haalaat ne mohlat nahii.n dii
Iftikhar Arif
Sher
Muzaffar Razmi
Sher
ik siraa uljhii hu.ii Dor kaa haath aayaa hai
duusre tak bhii pahu.nch jaa.uu.ngaa suljhaate hu.e
Rahmatullah khan
Sher
shaguftagii-e-dil-e-kaarvaa.n ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhii hu.ii bahaar me.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
ka.ii jhamelo.n me.n uljhii sii bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kaaGzaat kaa dukh
Saima Aftab
Sher
sar pe ehsaan rahaa be-sar-o-saamaanii kaa
KHaar-e-sahraa se na uljhaa kabhii daaman apnaa