SEARCH RESULTS
Showing search results for "ummiid-e-sifaarish"
Sher MATCHES FOR "ummiid-e-sifaarish"
Sher
zaahid umiid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharaab pii ke gunaah-gaar bhii to ho
Ameer Minai
Sher
aas kyaa ab to umiid-e-naa-ummiidii bhii nahii.n
kaun de mujh ko tasallii kaun bahlaa.e mujhe
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
dil le gayaa hai mujh kuu.n de ummiid-e-dil-dahii
zaalim kabhii to laa.egaa meraa liyaa hu.aa
Siraj Aurangabadi
Sher
daraKHt karte nahii.n is liye umiid-e-vafaa
vo jaante hai.n parindo.n ke par nikalte hai.n
Kuldeep Kumar
Sher
maashuuqo.n se ummiid-e-vafaa rakhte ho 'naasiKH'
naadaa.n ko.ii duniyaa me.n nahii.n tum se ziyaada
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
mai.n kisii haal me.n maayuus nahii.n ho saktaa
zulmate.n laakh ho.n ummiid-e-sahar rakhtaa huu.n
Naeem Ghazi
Sher
ummiid o yaas kii rut aatii jaatii rahtii hai
magar yaqiin kaa mausam nahii.n badaltaa hai
Manzoor Hashmi
Sher
log kyaa saada hai.n ummiid-e-vafaa rakhte hai.n
jaise ma.aluum nahii.n un ko haqiiqat terii
Athar Nadir
Sher
ahbaab se rakhtaa huu.n kuchh ummiid-e-KHuraafaat
rahte hai.n KHafaa mujh se bahut log isii se
Firaq Gorakhpuri
Sher
yaad-e-maazii Gam-e-imroz umiid-e-fardaa
kitne saa.e mire hamraah chalaa karte hai.n
Shamim Karhani
Sher
un se ummiid-e-mulaaqaat ke baa'd ai 'maKHmuur'
muddato.n tak na KHud apne se mulaaqaat hu.ii