SEARCH RESULTS
Showing search results for "umr-e-tamaam"
Sher MATCHES FOR "umr-e-tamaam"
Sher
tamaam umr kaTii us kii justujuu karte
ba.De dino.n me.n ye tarz-e-kalaam aayaa hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
abhii hame.n guzaarnii hai ek umr-e-muKHtasar
magar hamaarii umr-e-muKHtasar me.n kitnii der hai
Ahmad Shahryar
Sher
agar sukuun se umr-e-aziiz khonaa ho
kisii kii chaah me.n KHud ko tabaah kar liije
Javed Kamal Rampuri
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
mirii umr-e-guzishta kii haqiiqat puuchhne vaalo
mujhe vo umr umr-e-raa.egaa.n maaluum hotii hai
Nazneen Begum Naz
Sher
vahm-o-gumaa.n ne aas ba.ndhaa.ii tamaam raat
aahaT KHiraam-e-naaz kii aa.ii tamaam raat
Jalee Amrohvi
Sher
hamaarii dekhiyo Gaflat na samjhe vaa.e naadaanii
hame.n do din ke bahlaane ko umr-e-be-madaar aa.ii
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
ho umr-e-KHizr bhii to ho ma.aluum vaqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaa.n abhii aa.e abhii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ik KHalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.n rahne diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naa-mehrbaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
mai.n ki apnaa hii pata puuchh rahaa huu.n sab se
kho ga.ii jaane kahaa.n umr-e-guzishta merii
Lutf-ur-rahman
Sher
raahat kii justujuu me.n KHushii kii talaash me.n
Gam paaltii hai umr-e-gurezaa.n na.e na.e
Adeeb Saharanpuri
Sher
is e'tibaar pe kaaTii hai ham ne umr-e-aziiz
sahar kaa vaqt ujaale bhii saath laa.egaa
Abid Wadood
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aa umr-e-rafta hashr ke dam-KHam bhii dekh le.n
tuufaan-e-zindagii kii vo halchal uThaa to laa
Natiq Gulavthi
Sher
kuchh to KHayaal kar mirii umr-e-daraaz kaa
sadiyaa.n guzar ga.ii hai.n tire intizaar me.n
Mahwar Sirsivi
Sher
yaarab mire gunaah kyaa aur ehtisaab kyaa
kuchh dii nahii.n hai KHizr sii umr-e-ravaa.n mujhe