SEARCH RESULTS
Showing search results for "unke"
Sher MATCHES FOR "unke"
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Hasrat Mohani
Sher
andaaz apnaa dekhte hai.n aa.ine me.n vo
aur ye bhii dekhte hai.n ko.ii dekhtaa na ho
Nizam Rampuri
Sher
vahii phir mujhe yaad aane lage hai.n
jinhe.n bhuulne me.n zamaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
Jaun Eliya
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
hayaa nahii.n hai zamaane kii aa.nkh me.n baaqii
KHudaa kare ki javaanii tirii rahe be-daaG
Allama Iqbal
Sher
vaqt aane de dikhaa de.nge tujhe ai aasmaa.n
ham abhii se kyuu.n bataa.e.n kyaa hamaare dil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
aa.nkh se duur sahii dil se kahaa.n jaa.egaa
jaane vaale tuu hame.n yaad bahut aa.egaa
Obaidullah Aleem
Sher
ik saal gayaa ik saal nayaa hai aane ko
par vaqt kaa ab bhii hosh nahii.n diivaane ko