SEARCH RESULTS
Showing search results for "unsiyat"
Sher MATCHES FOR "unsiyat"
Sher
dilkashii thii unsiyat thii yaa mohabbat yaa junuun
sab maraahil tujh se jo mansuub the achchhe lage
Alok Yadav
Sher
sharaafato.n kii yahaa.n ko.ii ahmiyat hii nahii.n
kisii kaa kuchh na bigaa.Do to kaun Dartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
ek hii shahr me.n rahnaa hai magar milnaa nahii.n
dekhte hai.n ye aziyyat bhii gavaara kar ke
Aitbar Sajid
Sher
tujh se ab aur mohabbat nahii.n kii jaa saktii
KHud ko itnii bhii aziyyat nahii.n dii jaa saktii
Noshi Gilani
Sher
Naeem Zarrar Ahmad
Sher
jo tuu nahii.n hai to ye mukammal na ho sake.ngii
tirii yahii ahmiyat hai merii kahaaniyo.n me.n
Wasi Shah
Sher
jis kii adaa adaa pe ho insaaniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisaa bashar Dhuu.nDte hai.n ham
Ajiz Matvi
Sher
tamaam umr isii ehtiyaat me.n guzrii
ki aashiyaa.n kisii shaaKH-e-chaman pe baar na ho
Meer Anees
Sher
mujhe sambhaalne me.n itnii ehtiyaat na kar
bikhar na jaa.uu.n kahii.n mai.n tirii hifaazat me.n
Saleem Kausar
Sher
ahmiyat kaa mujhe apnii bhii to andaaza hai
tum ga.e vaqt kii maanind ga.nvaa do mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
aaj kyaa lauTte lamhaat mayassar aa.e
yaad tum apnii inaayaat se ba.Dh kar aa.e
Rajinder Manchanda Bani
Sher
kuchh mohabbat ko na thaa chain se rakhnaa manzuur
aur kuchh un kii inaayaat ne jiine na diyaa
Kaif Bhopali
Sher
partav-e-KHur se hai shabnam ko fanaa kii ta.aliim
mai.n bhii huu.n ek inaayat kii nazar hote tak