SEARCH RESULTS
Showing search results for "uqda"
Sher MATCHES FOR "uqda"
Sher
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
Rasa Chughtai
Sher
tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khulaa
bholii-bhaalii shakl vaale hote hai.n jallaad bhii
Jaleel Manikpuri
Sher
ashk-e-Gam uqda-kushaa-e-KHalish-e-jaa.n niklaa
jis ko dushvaar mai.n samjhaa thaa vo aasaa.n niklaa
Hadi Machlishahri
Sher
nigah-e-lutf me.n hai uqda-kushaa.ii muzmar
kaam big.De hu.e bando.n ke sa.nvar jaate hai.n
Sher Singh Naaz Dehlvi
Sher
dilo.n kii uqda-kushaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
ye aadmii kii KHudaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
yuu.n to bahut hai mushkil band-e-qabaa kaa khulnaa
jo khul gayaa to phir ye uqda khulaa rahegaa
Ahmad Mahfuz
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
pahle is me.n ik adaa thii naaz thaa andaaz thaa
ruuThnaa ab to tirii aadat me.n shaamil ho gayaa
Agha Shayar Qazalbash
Sher
aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
har adaa achchhii KHamoshii kii adaa achchhii nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
aafat to hai vo naaz bhii andaaz bhii lekin
martaa huu.n mai.n jis par vo adaa aur hii kuchh hai
Ameer Minai
Sher
bichh.Daa kuchh is adaa se ki rut hii badal ga.ii
ik shaKHs saare shahr ko viiraan kar gayaa
Khalid Sharif
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa