SEARCH RESULTS
Showing search results for "urdu adab magazines"
Sher MATCHES FOR "urdu adab magazines"
Sher
urdu adab me.n jo bhii hamaaraa maqaam hai
ustaad-e-mohtaram ke vo bheje kaa kaam hai
Saghar Khayyami
Sher
Ada Jafarey
Sher
aa gayaa 'jauhar' ajab ulTaa zamaana kyaa kahe.n
dost vo karte hai.n baate.n jo aduu karte nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
adam se dahr me.n aanaa kise gavaaraa thaa
kashaa.n kashaa.n mujhe laa.ii hai aarzuu terii
Haidar Ali Aatish
Sher
ye baato.n me.n narmii ye tahziib-o-aadaab
sabhii kuchh milaa ham ko urdu zabaa.n se
Bashir Mehtaab
Sher
bas ki thii rone kii aadat vasl me.n bhii yaar se
kah ke apnaa aap haal-e-aarzuu rone lagaa
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
mujhe ye Dar hai tirii aarzuu na miT jaa.e
bahut dino.n se tabii.at mirii udaas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
mai.n jis ko apnii gavaahii me.n le ke aayaa huu.n
ajab nahii.n ki vahii aadmii aduu kaa bhii ho
Iftikhar Arif
Sher
na niklii hasrat-e-dil ek bhii hazaar afsos
adam se aa.e the kyaa kyaa ham aarzuu karte