SEARCH RESULTS
Showing search results for "uruuj-e-maah"
Sher MATCHES FOR "uruuj-e-maah"
Sher
uruuj-e-maah ko insaa.n samajh gayaa lekin
hanuuz azmat-e-insaa.n se aagahii kam hai
Shahid Siddiqui
Sher
nikle hai.n ghar se dekhne ko log maah-e-iid
aur dekhte hai.n abruu-e-KHamdaar kii taraf
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Allama Iqbal
Sher
fuqdaan-e-uruuj-e-rasan-o-daar nahii.n hai
mansuur bahut hai.n lab-e-iz.haar nahii.n hai
Haneef akhgar
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
vo yuu.n subuut-e-uruuj-o-zavaal detaa thaa
uThaa ke haath me.n patthar uchhaal detaa thaa
Ibrat Machlishahri
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
KHalal-paziir hu.aa rabt-e-mehr-o-maah me.n vaqt
bataa ye tujh se judaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
mai.n apne ghar ko bulandii pe cha.Dh ke kyaa dekhuu.n
uruuj-e-fan mirii dahliiz par utaar mujhe
Khalilur Rahman Azmi
Sher
ye mai-kada hai kaliisaa o KHaanqaah nahii.n
uruuj-e-fikr o faroG-e-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
agar Gubaar ho dil me.n agar ho ta.ng-nazar
to mehr o maah se bhii tiirgii nahii.n jaatii
Wamiq Jaunpuri
Sher
ye sard-mehr ujaalaa ye jiitii-jaagtii raat
tire KHayaal se tasviir-e-maah jaltii hai
Mahboob Khizan
Sher
ai rashk-e-maah raat ko muTThii na kholnaa
mehdii kaa chor haath se jaa.e na chhuuT ke
Muneer Shikohabadi
Sher
hijr me.n milne shab-e-maah ke Gam aa.e hai.n
chaarasaazo.n ko bhii bulvaa.o ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
Sher
yaa saal o maah thaa tuu mire saath yaa to ab
barso.n me.n ek din kii mulaaqaat se gayaa
Aftab Shah Alam Sani
Sher
KHvaan-e-falak pe ne.amat-e-alvaan hai kahaa.n
KHaalii hai.n mahr-o-maah kii dono rikaabiyaa.n