SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaa.iz"
Sher MATCHES FOR "vaa.iz"
Sher
'Gaalib' buraa na maan jo vaa.iz buraa kahe
aisaa bhii ko.ii hai ki sab achchhaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Allama Iqbal
Sher
kidhar se barq chamaktii hai dekhe.n ai vaa.iz
mai.n apnaa jaam uThaataa huu.n tuu kitaab uThaa
Jigar Moradabadi
Sher
javaanii ko bachaa sakte to hai.n har daaG se vaa.iz
magar aisii javaanii ko javaanii kaun kahtaa hai
Fani Badayuni
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
vaa.iz ba.Daa mazaa ho agar yuu.n azaab ho
dozaKH me.n paa.nv haath me.n jaam-e-sharaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
pii shauq se vaa.iz are kyaa baat hai Dar kii
dozaKH tire qabze me.n hai jannat tire ghar kii
Shakeel Badayuni
Sher
apnii jannat mujhe dikhlaa na sakaa tuu vaa.iz
kuucha-e-yaar me.n chal dekh le jannat merii
Fani Badayuni
Sher
Ameer Minai
Sher
mirii sharaab kii tauba pe jaa na ai vaa.iz
nashe kii baat nahii.n e'tibaar ke qaabil
Hafeez Jaunpuri
Sher
mu.nh me.n vaa.iz ke bhii bhar aataa hai paanii aksar
jab kabhii tazkira-e-jaam-e-sharaab aataa hai
Bekhud Dehlvi
Sher
vaa.iz na tum piyo na kisii ko pilaa sako
kyaa baat hai tumhaarii sharaab-e-tuhuur kii
Mirza Ghalib
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
Ahsan Marahravi
Sher
dhoke se pilaa dii thii use bhii ko.ii do ghuu.nT
pahle se bahut narm hai vaa.iz kii zabaa.n ab
Riyaz Khairabadi
Sher
vaa.iz mai-e-tuhuur jo piinaa hai KHuld me.n
aadat abhii se Daal rahaa huu.n sharaab kii