SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaadii-e-nisyaa.n"
Sher MATCHES FOR "vaadii-e-nisyaa.n"
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Sahir Siyalkoti
Sher
kaa.nTo.n kii zabaa.n suukh ga.ii pyaas se yaa rab
ik aabla-paa vaadi-e-pur-KHaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
zehn par zor bhii Daalo to na yaad aa.uu.n mai.n
is tarah parda-e-nisyaa.n me.n chhupaa lo mujh ko
Ahmad Mahfuz
Sher
Shah Naseer
Sher
be-parda suu-e-vaadi-e-majnuu.n guzar na kar
har zarra ke naqaab me.n dil be-qaraar hai
Mirza Ghalib
Sher
daaman jhaTak ke vaadii-e-Gam se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhtii rahii gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
Sher
jaataa huu.n suu-e-vaadii-e-Gurbat ba-haal-e-zaar
ahl-e-vatan mu.aaf ho meraa kahaa-sunaa
Unknown
Sher
ham hai.n ki ab bhii vaadii-e-zulmat me.n hai.n ravaa.n
apne lahuu se kar ke charaaGaa.n kaa ehtimaam
Ateeq Ahmad Ateeq
Sher
zindagii vaadii o sahraa kaa safar hai kyuu.n hai
itnii viiraan mirii raah-guzar hai kyuu.n hai
Ibrahim Ashk
Sher
dasht me.n vaadi-e-shaadaab ko chhuu kar aayaa
mai.n khulii-aa.nkh hasii.n KHvaab ko chhuu kar aayaa
Ahmad Khayal
Sher
vaadi-e-shab me.n ujaalo.n kaa guzar ho kaise
dil jalaa.e raho paiGaam-e-sahar aane tak
Syed Ehtisham Husain
Sher
yuu.n KHush na ho ai shahr-e-nigaaraa.n ke dar o baam
ye vaadi-e-saffaak bhii rahne kii nahii.n hai
Kabir Ajmal
Sher
laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijaazat
maare ga.e phir vaadii-e-inkaar me.n ham log
Aziz Nabeel
Sher
kyaa kohkan kii koh-kanii kyaa junuun-e-qais
vaadii-e-ishq me.n ye maqaam ibtidaa ke hai.n