SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaarid"
Sher MATCHES FOR "vaarid"
Sher
Shakeel Jazib
Sher
gul Gunche aaftaab shafaq chaa.nd kahkashaa.n
aisii ko.ii bhii chiiz nahii.n jis me.n tuu na ho
Wahid Premi
Sher
maa.ngne vaalo.n ko kyaa izzat o rusvaa.ii se
dene vaalo.n kii amiirii kaa bharam khultaa hai
Waheed Akhtar
Sher
ra.ng darkaar the ham ko tirii KHaamoshii ke
ek aavaaz kii tasviir banaanii thii hame.n
Nazir Wahid
Sher
ham nii.nd kii chaadar me.n lipTe hu.e chalte hai.n
is bhes me.n ab ham se milnaa ho to aa jaanaa
Varis Kirmani
Sher
kuchh kah ke us ne phir mujhe diivaana kar diyaa
itnii sii baat thii jise afsaana kar diyaa
Waheed Allahabadi
Sher
hazaaro.n saal safar kar ke phir vahii.n pahu.nche
bahut zamaana hu.aa thaa hame.n zamii.n se chale
Waheed Akhtar
Sher
jo sun.naa chaaho to bol uTThe.nge a.ndhere bhii
na sun.naa chaaho to dil kii sadaa sunaa.ii na de
Waheed Akhtar
Sher
yahii tashviish shab-o-roz hai bangaale me.n
lucknow phir kabhii dikhlaa.e muqaddar meraa
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
ulfat ne tirii ham ko to rakkhaa na kahii.n kaa
dariyaa kaa na jangal kaa samaa kaa na zamii.n kaa
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
Wahid Premi
Sher
ab bhii aa jaate to rah jaatii hamaarii zindagii
baad marne ke agar KHat kaa javaab aayaa to kyaa
Waheed Allahabadi
Sher
sirf taariiKH kii raftaar badal jaa.egii
na.ii taariiKH ke vaaris yahii insaa.n ho.nge
Rais Amrohvi
Sher
Varis Kirmani
Sher
dar-o-diivaar pe hasrat se nazar karte hai.n
KHush raho ahl-e-vatan ham to safar karte hai.n