SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaaviin"
Sher MATCHES FOR "vaaviin"
Sher
jahaa.n rahegaa vahii.n raushnii luTaa.egaa
kisii charaaG kaa apnaa makaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
mohabbat vahii.n tak hai sachchii mohabbat
jahaa.n tak ko.ii ahd-o-paimaa.n nahii.n hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
ho jaa.e jahaa.n shaam vahii.n un kaa baseraa
aavaara parindo.n ke Thikaane nahii.n hote
Makhmoor Saeedi
Sher
meraa bhii ek baap thaa achchhaa saa ek baap
vo jis jagah pahu.nch ke maraa thaa vahii.n huu.n mai.n
Rais Farogh
Sher
hazaaro.n saal safar kar ke phir vahii.n pahu.nche
bahut zamaana hu.aa thaa hame.n zamii.n se chale
Waheed Akhtar
Sher
uThaa ye shor vahii.n se sadaa.o.n kaa kyuu.n-kar
vo aadmii to sunaa apne ghar me.n tanhaa thaa
Umar Ansari
Sher
hai intihaa-e-yaas bhii ik ibtidaa-e-shauq
phir aa ga.e vahii.n pe chale the jahaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
bahut barbaad hai.n lekin sadaa-e-inqalaab aa.e
vahii.n se vo pukaar uThegaa jo zarra jahaa.n hogaa
Ali Sardar Jafri
Sher
ek ham hai.n ki jahaa.n jaa.e.n bure kahlaa.e.n
ek vo hai.n ki jahaa.n jaa.e.n vahii.n achchhe hai.n
Muztar Khairabadi
Sher
jahaa.n jahaa.n ko.ii urdu zabaan boltaa hai
vahii.n vahii.n miraa hindostaan boltaa hai