SEARCH RESULTS
Showing search results for "vachan"
Sher MATCHES FOR "vachan"
Sher
jahaa.n rahegaa vahii.n raushnii luTaa.egaa
kisii charaaG kaa apnaa makaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
Allama Iqbal
Sher
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaa.n
shaam aa ga.ii hai lauT ke ghar jaa.e.n ham to kyaa
Muneer Niyazi
Sher
samjhegaa aadmii ko vahaa.n kaun aadmii
banda jahaa.n KHudaa ko KHudaa maantaa nahii.n
Saba Akbarabadi
Sher
is vaqt vahaa.n kaun dhu.aa.n dekhne jaa.e
aKHbaar me.n pa.Dh le.nge kahaa.n aag lagii thii
Anwar Masood
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
vahaa.n se hai mirii himmat kii ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane kii
Josh Malihabadi
Sher
vafaa.o.n ke badle jafaa kar rahe hai.n
mai.n kyaa kar rahaa huu.n vo kyaa kar rahe hai.n
Behzad Lakhnavi
Sher
rishto.n kaa e'tibaar vafaa.o.n kaa intizaar
ham bhii charaaG le ke havaa.o.n me.n aa.e hai.n
Nida Fazli
Sher
mohabbat vahii.n tak hai sachchii mohabbat
jahaa.n tak ko.ii ahd-o-paimaa.n nahii.n hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
Qadr Bilgrami
Sher
ho jaa.e jahaa.n shaam vahii.n un kaa baseraa
aavaara parindo.n ke Thikaane nahii.n hote
Makhmoor Saeedi
Sher
mai.n aa gayaa huu.n vahaa.n tak tirii tamannaa me.n
jahaa.n se ko.ii bhii imkaan-e-vaapsii na rahe
Mahmood Ghazni
Sher
kaam aa sakii.n na apnii vafaa.e.n to kyaa kare.n
us bevafaa ko bhuul na jaa.e.n to kyaa kare.n
Akhtar Shirani
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho