SEARCH RESULTS
Showing search results for "vadera"
Sher MATCHES FOR "vadera"
Sher
Afzal Khan
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Momin Khan Momin
Sher
hame.n bhii aaj hii karnaa thaa intizaar us kaa
use bhii aaj hii sab vaade bhuul jaane the
Aashufta Changezi
Sher
kyuu.n pashemaa.n ho agar va.ada vafaa ho na sakaa
kahii.n va.ade bhii nibhaane ke liye hote hai.n
Ibrat Machlishahri
Sher
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanaa
ki KHushii se mar na jaate agar e'tibaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
ko.ii ishaara dilaasaa na ko.ii va.ada magar
jab aa.ii shaam tiraa intizaar karne lage
Waseem Barelvi
Sher
ab tum kabhii na aa.oge yaanii kabhii kabhii
ruKHsat karo mujhe ko.ii va.ada kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
va.ade kaa e'tibaar to hai vaaqa.ii mujhe
ye aur baat hai ki ha.nsii aa ga.ii mujhe
Nakhshab Jaarchawi
Sher
subuut hai ye mohabbat kii saada-lauhii kaa
jab us ne va.ada kiyaa ham ne e'tibaar kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
ek muddat se na qaasid hai na KHat hai na payaam
apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
Jalal Manikpuri
Sher
kis mu.nh se kah rahe ho hame.n kuchh Garaz nahii.n
kis mu.nh se tum ne va.ada kiyaa thaa nibaah kaa