SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaqf-e-ba-naam-e-ahmad"
Sher MATCHES FOR "vaqf-e-ba-naam-e-ahmad"
Sher
ba-naam-e-amn-o-amaa.n kaun maaraa jaa.egaa
na jaane aaj yahaa.n kaun maaraa jaa.egaa
Naseem Sahar
Sher
do KHat ba-naam-e-zauja-o-jaanaa.n likhe magar
dono.n KHato.n kaa us se lifaafa badal gayaa
Aziz Faisal
Sher
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhii tak hai
vo saada-lauh hame.n chaahtaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
sab apne apne tariiqe se bhiik maa.ngte hai.n
ko.ii ba-naam-e-mohabbat ko.ii ba-jaama-e-ishq
Abid Wadood
Sher
bhuul kar bhii ko.ii letaa nahii.n ab naam-e-vafaa
ishq is shahr me.n gardan-zadanii ho jaise
Shahzad Ahmad
Sher
kaun sii baat na.ii ai dil-e-naakaam hu.ii
shaam se sub.h hu.ii sub.h se phir shaam hu.ii
Shad Azimabadi
Sher
us harf-e-baa-safaa ne to suulii cha.Dhaa diyaa
vo ek harf-e-haq jo mire haafize me.n thaa
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
kabhii na badle dil-e-baa-safaa ke taur-tariiq
aduu milaa to use bhii salaam karte rahe
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
mai.n naa-KHush-o-be-zaar huu.n marmar kii silo.n se
mere liye miTTii kaa haram aur banaa do
Allama Iqbal
Sher
Zulfeqar Ahmad Tabish
Sher
gulo.n kii mahfil-e-ra.ngii.n me.n KHaar ban na sake
bahaar aa.ii to ham gulsitaa.n se lauT aa.e
Khatir Ghaznavi
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
naavak-e-zulm uThaa dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke KHanjar-e-be-naam se mat maar mujhe
Mustafa Zaidi
Sher
ba.Dhegii baat na baiThe.nge chupke ham ai but
raqiib se jo karoge kalaam uTh uTh kar
Muneer Shikohabadi
Sher
ataa usii kii hai ye shahd o shor kii taufiiq
vahii galiim me.n ye naan-e-be-javii.n laayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
dayaar-e-Gair me.n luTte to ko.ii baat na thii
luTe vatan me.n to sadma hu.aa na jaane kyuu.n
Shahab Lakhnavi
Sher
misl-e-mausam jo badalte to ko.ii baat na thii
tuu ne to badlaa hai girgiT kii tarah rang apnaa
Manzar Suhai
Sher
ha.ngaama-e-hayaat se jaa.n-bar na ho sakaa
ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakaa