SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaquuf-e-mad.h-o-zam"
Sher MATCHES FOR "vaquuf-e-mad.h-o-zam"
Sher
Adeeb Saharanpuri
Sher
qindiil-e-mah-o-mehr kaa aflaak pe honaa
kuchh is se ziyaada hai miraa KHaak pe honaa
Sarvat Husain
Sher
bahut dino.n me.n kahii.n hijr-e-maah-o-saal ke ba.ad
rukaa hu.aa hai zamaana tire visaal ke ba.ad
Saleem Kausar
Sher
Noon Meem Danish
Sher
Guncha o gul maah o anjum sab ke sab bekaar the
aap kyaa aa.e ki phir mausam suhaanaa aa gayaa
Asad Bhopali
Sher
Ali Akbar Abbas
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
ye mahr-o-maah-o-kavaakib kii bazm-e-laa-mahduud
salaa-e-daavat-e-parvaaz hai bashar ke liye
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
KHalal-paziir hu.aa rabt-e-mehr-o-maah me.n vaqt
bataa ye tujh se judaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
sameT le.n mah o KHurshiid raushnii apnii
salaahiyat hai zamii.n me.n bhii jagmagaane kii
Mazhar Imam
Sher
jab zaraa raat hu.ii aur mah o anjum aa.e
baar-haa dil ne ye mahsuus kiyaa tum aa.e
Asad Bhopali
Sher
jo mah o saal guzaare hai.n bichha.D kar ham ne
vo mah o saal agar saath guzaare hote
Adeem Hashmi
Sher
ham chaahte the maah-e-daraKHshaa.n ko dekhnaa
us ne hame.n dariiche se chehra dikhaa diyaa
Ayesha Masood Malik
Sher
uruuj-e-maah ko insaa.n samajh gayaa lekin
hanuuz azmat-e-insaa.n se aagahii kam hai