SEARCH RESULTS
Showing search results for "vasii-un-nazar"
Sher MATCHES FOR "vasii-un-nazar"
Sher
kahe.n hai.n reKHta punjab me.n nazar-saahib
ba-qadr-e-zauq tum un kii suno hu.aa so hu.aa
Prem Kumar Nazar
Sher
jo kam-nigaah the vahii ahl-e-nazar bane
ham ko hamaare diida-e-biinaa se kyaa milaa
Mubarak Mungeri
Sher
vahii shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsuus hotii hai
kamii jis kii baraabar umr bhar mahsuus hotii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
ai nuur-e-nazar muntazir-e-vasl huu.n aa jaa
do paaT palak ke nahii.n darvaaza hu.aa mahz
Siraj Aurangabadi
Sher
kahaa.n ham kahaa.n vasl-e-jaanaa.n kii 'hasrat'
bahut hai unhe.n ik nazar dekh lenaa
Hasrat Mohani
Sher
tumhe.n tumhaare alaava bhii kuchh nazar aa.e
gar apne aa.ina-KHaano.n se tum nikal aa aa.o
Ahmad Wasi
Sher
sunte hai.n chamaktaa hai vo chaa.nd ab bhii sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh le.n ham bhii
Zuhoor Nazar
Sher
lagtaa hai judaa sab se kirdaar 'vasiim' us kaa
vo shahr-e-mohabbat kaa baashinda nazar aa.e
Waseem Malik
Sher
jis kaam ko jahaa.n me.n tuu aayaa thaa ai 'naziir'
KHaana-KHaraab tujh se vahii kaam rah gayaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
kal saath thaa ko.ii to dar o baam the raushan
tanhaa huu.n 'vasiim' aaj to ghar kaaT rahaa hai
Waseem Malik
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
vaamaa.ndgaan-e-raah to manzil pe jaa pa.De
ab tuu bhii ai 'naziir' yahaa.n se qadam taraash