SEARCH RESULTS
Showing search results for "vasiyat"
Sher MATCHES FOR "vasiyat"
Sher
merii allaah se bas itnii du.aa hai 'raashid'
mai.n jo urdu me.n vasiiyat likhuu.n beTaa pa.Dh le
Rashid Arfi
Sher
hai vasiyyat ki kafan mujh ko isii kaa denaa
haath aa jaa.e jo utraa hu.aa pairaahan-e-dost
Ameer Minai
Sher
ghar kii taqsiim vasiyyat ke mutaabiq hogii
phir bhii kyo.n mujh ko sage bhaa.ii se Dar lagtaa hai
Meraj Ahmad Meraj
Sher
ghar kii taqsiim vasiyyat ke mutaabiq hogii
phir bhii kyo.n mujh ko sage bhaa.ii se Dar lagtaa hai
Meraj Ahmad Meraj
Sher
mushkil ko samajhne kaa vasiila nikal aataa
tum baat to karte ko.ii rasta nikal aataa
Ambar Kharbanda
Sher
ai 'mus.hafii' tuu in se mohabbat na kiijiyo
zaalim Gazab hii hotii hai.n ye dillii vaaliyaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ameer Khusrau
Sher
ba.Daa vasii.a hai us ke jamaal kaa manzar
vo aa.iine me.n to bas muKHtasar saa rahtaa hai
Farhat Ehsas
Sher
ek ek qatre kaa mujhe denaa pa.Daa hisaab
KHuun-e-jigar vadii.at-e-mizhgaan-e-yaar thaa
Mirza Ghalib
Sher
sun.ne me.n aa rahe hai.n masarrat ke vaaqi.aat
jamhuuriyat kaa husn numaayaa.n hai aaj-kal
Sheri Bhopali
Sher
ye roz-marra ke kuchh vaaqi.aat-e-shaadii-o-Gam
mire KHudaa yahii insaa.n kii zindagaanii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
zaKHm-dar-zaKHm suKHan aur bhii hotaa hai vasii.a
ashk-dar-ashk ubhartii hai qalamkaar kii guu.nj
Saleem Siddiqui
Sher
dhokaa na khaa.o chaaraagaro vaaqi.aat se
pahluu me.n dil nahii.n hai to kyaa dard bhii nahii.n
Unknown
Sher
vo arz-e-Gam pe mirii un kaa ehtimaam-e-sukuut
tamaam shorish-e-tafsiil-e-vaaqi.aat ga.ii