SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaa-huu"
Sher MATCHES FOR "yaa-huu"
Sher
chalaa mai.n jaanib-e-manzil to ye hu.aa ma.aluum
yaqii.n gumaan me.n gum hai gumaa.n hai poshiida
Anwar Sadeed
Sher
bahut dino.n me.n mohabbat ko ye hu.aa ma.aluum
jo tere hijr me.n guzrii vo raat raat hu.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
yaa vo the KHafaa ham se yaa ham hai.n KHafaa un se
kal un kaa zamaana thaa aaj apnaa zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
achchhii-KHaasii dostii thii yaar ham dono.n ke biich
ek din phir us ne iz.haar-e-mohabbat kar diyaa
Ahmad Fazal Khan
Sher
Mohammad Amaan Nisar
Sher
rail-gaa.Dii ke safar me.n ye hu.aa hai aksar
log baiThe hu.e saamaan badal dete hai.n
Saeed Rahmani
Sher
ulTii kyuu.n pa.Dtii hai tadbiir ye ham kyaa jaane.n
kaun ulaT detaa hai is raaz ko tadbiir se puuchh
Imdad Imam Asar
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
hamaare qatl se qaatil ko tajraba ye hu.aa
lahuu lahuu bhii hai meh.ndii bhii hai sharaab bhii hai
Kaleem Aajiz
Sher
ye huu kaa vaqt ye jangal ghanaa ye kaalii raat
suno yahaa.n ko.ii KHatra nahii.n Thahar jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
ye ham jo peT se hii sochte hai.n shaam o sahar
kabhii to jaa.e.nge is daal-bhaat se aage
Zafar Iqbal
Sher
ye ham ko chho.D ke tanhaa kahaa.n chale 'vaamiq'
abhii to manzil-e-meraaj-e-daar baaqii hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
naaKHun kaa rang siina-KHaraashii se ye hu.aa
surKHii shafaq se aatii hai jaise hilaal par