SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaar-e-sitamgar"
Sher MATCHES FOR "yaar-e-sitamgar"
Sher
kitnaa chaalaak hai vo yaar-e-sitamgar dekho
us ne tohfe me.n gha.Dii dii hai magar vaqt nahii.n
Ali Sarmad
Sher
aataa nahii.n vo yaar-e-sitamgar to kyaa hu.aa
ko.ii Gam to us kaa dil se hamaare judaa nahii.n
Taban Abdul Hai
Sher
paa-bos-e-yaar kii hame.n hasrat hai ai nasiim
aahista aa.iiyo tuu hamaare mazaar par
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hii le chale.n
aa.e hai.n is galii me.n to patthar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
hariif-e-teG-e-sitam-gar to kar diyaa hai tujhe
ab aur mujh se tuu kyaa chaahtaa hai sar mere
Irfan Siddiqi
Sher
ho gayaa charKH-e-sitamgar kaa kaleja ThanDaa
mar ga.e pyaas se dariyaa ke kinaare bachche
Bedil Haidri
Sher
fasl-e-bahaar sehn-e-chaman yaar-e-mai-ba-kaf
kyuu.n zaahido haraam hai piinaa sharaab kaa
Abdul Wadood Uhad
Sher
o sitamgar tirii talvaar kaa dhabbaa chhaT jaa.e
apne daaman ko lahuu se mire bhar jaane de
Aagha Akbarabadi
Sher
mai.n ko.ii haal-e-sitam mu.nh se kahuu.n yaa na kahuu.n
ai sitamgar tire andaaz kahe dete hai.n
Nooh Narvi
Sher
Mubarak Azimabadi
Sher
ham banda-e-be-yaar-o-madadgaar the KHaamosh
KHaamosh rahaa kuucha-e-qaatil me.n KHudaa tak