SEARCH RESULTS
Showing search results for "yak-baKHt"
Sher MATCHES FOR "yak-baKHt"
Sher
mai.n KHud bhii yaar tujhe bhuulne ke haq me.n huu.n
magar jo biich me.n kam-baKHt shaa.irii hai naa
Afzal Khan
Sher
dil ko KHudaa kii yaad tale bhii dabaa chukaa
kam-baKHt phir bhii chain na paa.e to kyaa karuu.n
Hafeez Jalandhari
Sher
jaane kaa naam hii nahii.n letaa vo nek-baKHt
''muddat hu.ii hai yaar ko mehmaa.n kiye hu.e''
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
hai ek baat jo mauzuu-e-guftuguu bantii
mile jo aap to kam-baKHt yaad hii na rahii
Raza Naqvi Vahi
Sher
shaayad mizaaj ham se mukaddar hai yaar kaa
likkhaa hai us ne ham ko ba-KHatt-e-Gubaar KHat