SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaahid"
Sher MATCHES FOR "zaahid"
Sher
zaahid sharaab piine de masjid me.n baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaa.n par KHudaa na ho
Unknown
Sher
zaahid sharaab piine se kaafir hu.aa mai.n kyuu.n
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n iimaan bah gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ek ho jaa.e.n to ban sakte hai.n KHurshiid-e-mubii.n
varna in bikhre hu.e taaro.n se kyaa kaam bane
Abul Mujahid Zahid
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
aql ayyaar hai sau bhes badal letii hai
ishq bechaara na zaahid hai na mullaa na hakiim
Allama Iqbal
Sher
zaahid ne miraa haasil-e-iimaa.n nahii.n dekhaa
ruKH par tirii zulfo.n ko pareshaa.n nahii.n dekhaa
Asghar Gondvi
Sher
aurat huu.n magar suurat-e-kohsaar kha.Dii huu.n
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se la.Dii huu.n
Farhat Zahid
Sher
alfaaz na aavaaz na hamraaz na dam-saaz
ye kaise doraahe pe mai.n KHaamosh kha.Dii huu.n
Farhat Zahid
Sher
gunaahgaar ke dil se na bach ke chal zaahid
yahii.n kahii.n tirii jannat bhii paa.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Sher
tamaam umr KHushii kii talaash me.n guzrii
tamaam umr taraste rahe KHushii ke liye
Abul Mujahid Zahid
Sher
huuro.n kii talab aur mai o saaGar se hai nafrat
zaahid tire irfaan se kuchh bhuul hu.ii hai